mohabbat bikti ho gar shahr mein aisi dukan DhunDhen
mohabbat biktī ho gar shahr meñ aisī dukāñ DhūñDheñ
kudūrat dil kī dhultī ho jahāñ aisī dukāñ DhūñDheñ
sukūn-e-dil muyassar ho koī aisā makāñ DhūñDheñ
munāsib ab nahīñ har chiiz meñ sūd-o-ziyāñ DhūñDheñ
bigaḌtī baat bhī ban jaatī hai shīrīñ zabānī se
agar biktī ho tere shahr meñ aisī zabāñ DhūñDheñ
shab-e-daijūr kī chorī ho yā ho roz-e-raushan kī
pata to mil hī jā.egā chalo koī nishāñ DhūñDheñ
bahut mushkil hai lafzoñ meñ pironā dil kī hālat ko
batā.e hī binā jo baat kah de vo bayāñ DhūñDheñ
bahut ghabrā ga.e haiñ zindagī ke shor se 'ālam'
jahāñ bajtī ho bansī chain kī aisā jahāñ DhūñDheñ
mohabbat bikti ho gar shahr mein aisi dukan DhunDhen
kudurat dil ki dhulti ho jahan aisi dukan DhunDhen
sukun-e-dil muyassar ho koi aisa makan DhunDhen
munasib ab nahin har chiz mein sud-o-ziyan DhunDhen
bigaDti baat bhi ban jati hai shirin zabani se
agar bikti ho tere shahr mein aisi zaban DhunDhen
shab-e-daijur ki chori ho ya ho roz-e-raushan ki
pata to mil hi jaega chalo koi nishan DhunDhen
bahut mushkil hai lafzon mein pirona dil ki haalat ko
batae hi bina jo baat kah de wo bayan DhunDhen
bahut ghabra gae hain zindagi ke shor se 'alam'
jahan bajti ho bansi chain ki aisa jahan DhunDhen
- Book : Mata-e-Haque (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.