mujhko agar mili na duniya ki baadshahi
mujh ko agar milī na duniyā kī bādshāhī
muzmar hai us meñ shāyad kuchh hikmat-e-ilāhī
nān-e-javīñ jo khāte aabā kī shaan rakhte
barbād ho ga.e ham khā-khā ke murġh-o-māhī
vāris huuñ us nabī kā jo dil kī saltanat par
karte haiñ raaj sab par be-teġh be-sipāhī
raushan zamīr vaale sab uTh ga.e jahāñ se
baaqī jo bach ga.e haiñ lahv-o-la'ab ke raahī
māñgo gunah kī baḳhshish ab giḌgiḌā ke 'ālam'
dhote haiñ ḳhuuñ ke aañsū sab qalb kī syāhī
hai 'ishq kī ye vaadī dushvār rāsta hai
sambhle to bāġh-o-bulbul phisle to phir tabāhī
'mahmūd' is jahāñ meñ koī nahīñ hai apnā
jhūTe haiñ sab ke vā'de jhūTī hai ḳhair-ḳhvāhī
'ālam' rahe haiñ tanhā har bhiiḌ meñ akele
ash'ār de rahe haiñ is baat kī gavāhī
mujh ko agar mili na duniya ki baadshahi
muzmar hai us mein shayad kuchh hikmat-e-ilahi
nan-e-jawin jo khate aaba ki shan rakhte
barbaad ho gae hum kha-kha ke murgh-o-mahi
waris hun us nabi ka jo dil ki saltanat par
karte hain raj sab par be-tegh be-sipahi
raushan zamir wale sab uTh gae jahan se
baqi jo bach gae hain lahw-o-la'ab ke rahi
mango gunah ki baKHshish ab giDgiDa ke 'alam'
dhote hain KHun ke aansu sab qalb ki syahi
hai 'ishq ki ye wadi dushwar rasta hai
sambhle to bagh-o-bulbul phisle to phir tabahi
'mahmud' is jahan mein koi nahin hai apna
jhuTe hain sab ke wa'de jhuTi hai KHair-KHwahi
'alam' rahe hain tanha har bhiD mein akele
ash'ar de rahe hain is baat ki gawahi
- Book : Mata-e-Haque
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.