wahin par jake Thahra ahl-e-dil ahl-e-dil ka karwan pahle
wahin par jake Thahra ahl-e-dil ahl-e-dil ka karwan pahle
Mahmood Ali Saba
MORE BYMahmood Ali Saba
vahīñ par jaake Thahrā ahl-e-dil ahl-e-dil kā kārvāñ pahle
mohabbat ne kisī kī lī thī añgḌā.ī jahāñ pahle
nayā andāz thā us shām-e-ġham kī dil-farebī kā
huī thī āshnā nāloñ se jab apnī zabāñ pahle
unhīñ ke sar rahā sehrā mirī barbādī-e-dil kā
jo nāla-e-ġham meñ hue pal kar javāñ pahle
vahī tinkā ki jis par thī banā mere nasheman kī
banāyā barq ne us ko charāġh-e-āshiyāñ pahle
'sabā' yaksāñ haiñ mere vāste gul hoñ ki kāñTe hoñ
mohabbat ne paḌhā.ī thī mujhe apnī zabāñ pahle
wahin par jake Thahra ahl-e-dil ahl-e-dil ka karwan pahle
mohabbat ne kisi ki li thi angDai jahan pahle
naya andaz tha us sham-e-gham ki dil-farebi ka
hui thi aashna nalon se jab apni zaban pahle
unhin ke sar raha sehra meri barbaadi-e-dil ka
jo nala-e-gham mein hue pal kar jawan pahle
wahi tinka ki jis par thi bana mere nasheman ki
banaya barq ne us ko charagh-e-ashiyan pahle
'saba' yaksan hain mere waste gul hon ki kanTe hon
mohabbat ne paDhai thi mujhe apni zaban pahle
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 71)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.