silsila kyun arsh tak pahunche na meri aah ka
silsila kyuuñ arsh tak pahuñche na merī aah kā
sabt lauh-e-dil pe mere naqsh hai allāh kā
ba.ad murdan yaad maiñ us kī ḳhushā apnā uruuj
bas ki jism-e-zār apnā hai ġhubār us raah kā
saf.ha-e-dil par mire vahdat kī us kī mohr hai
daaġh vo rakhtī ho jis se hai ḳhajil ruḳh maah kā
partav-e-tauhīd se hū kā samāñ hai aañkh meñ
saf.ha-e-qalb-e-hazīñ hai naqsh us dargāh kā
kyuuñ na mahmūda hoñ saare marhale tai ḳhair se
mujh ko vird allāh kā hai shuġhl bismillāh kā
silsila kyun arsh tak pahunche na meri aah ka
sabt lauh-e-dil pe mere naqsh hai allah ka
baad murdan yaad main us ki KHusha apna uruj
bas ki jism-e-zar apna hai ghubar us rah ka
safha-e-dil par mere wahdat ki us ki mohr hai
dagh wo rakhti ho jis se hai KHajil ruKH mah ka
partaw-e-tauhid se hu ka saman hai aankh mein
safha-e-qalb-e-hazin hai naqsh us dargah ka
kyun na mahmuda hon sare marhale tai KHair se
mujh ko wird allah ka hai shughl bismillah ka
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 85)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.