mahrum-e-tasawwu kar na diya majbur-e-tamasha kar na diya
mahrum-e-tasawwu kar na diya majbur-e-tamasha kar na diya
Seemab Akbarabadi
MORE BYSeemab Akbarabadi
mahrūm-e-tasavvu kar na diyā majbūr-e-tamāshā kar na diyā
mahfil ko mirī barham kar ke tum ne mujhe tanhā kar na diyā
paiġhām mohabbat ke de kar ham-zauq-e-zulaiḳhā kar na diyā
āḳhir ham ne ai husn tujhe pāband-e-tamannā kar na diyā
insān ke dil meñ ghuT-ghuT kar jo ruuh ko khaa.e jaatā hai
himmat thī agar to duniyā ne us raaz ko ifshā kar na diyā
ab mere dil-e-ḳhūñ-gashta kī har mauj tamanna-parvar hai
māyūs-e-mohabbat kar ke mujhe bezār-e-tamanna kar na diyā
ab tak merā zulmat-ḳhāna hai be-sham.a-o-be-parvana
tāroñ ne charāġhāñ kar na diyā sūraj ne ujālā kar na diyā
maiñ ek nazar se āsūda apnī ḳhalvat meñ baiThā huuñ
ai jalva-e-har-sū-e-fitrat tū ne mujhe rusvā kar na diyā
aivān-e-tasavvur se apne niklā na talab kī duniyā meñ
jab tak har zarre ko maiñ ne phailā kar duniyā kar na diyā
maiñ ne to kahā thā pahle hī Duubā to ubharnā mushkil hai
ai be-ḳhabarī kho kar mujh ko phir tū ne paidā kar na diyā
'sīmāb' jo tark-e-duniyā par ta.ane mujhe aksar dete haiñ
un logoñ ne dāman ko mire vābasta-e-duniyā kar na diyā
mahrum-e-tasawwu kar na diya majbur-e-tamasha kar na diya
mahfil ko meri barham kar ke tum ne mujhe tanha kar na diya
paigham mohabbat ke de kar ham-zauq-e-zulaiKHa kar na diya
aaKHir hum ne ai husn tujhe paband-e-tamanna kar na diya
insan ke dil mein ghuT-ghuT kar jo ruh ko khae jata hai
himmat thi agar to duniya ne us raaz ko ifsha kar na diya
ab mere dil-e-KHun-gashta ki har mauj tamanna-parwar hai
mayus-e-mohabbat kar ke mujhe bezar-e-tamanna kar na diya
ab tak mera zulmat-KHana hai be-shama-o-be-parwana
taron ne charaghan kar na diya suraj ne ujala kar na diya
main ek nazar se aasuda apni KHalwat mein baiTha hun
ai jalwa-e-har-su-e-fitrat tu ne mujhe ruswa kar na diya
aiwan-e-tasawwur se apne nikla na talab ki duniya mein
jab tak har zarre ko main ne phaila kar duniya kar na diya
main ne to kaha tha pahle hi Duba to ubharna mushkil hai
ai be-KHabari kho kar mujh ko phir tu ne paida kar na diya
'simab' jo tark-e-duniya par tane mujhe aksar dete hain
un logon ne daman ko mere wabasta-e-duniya kar na diya
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 200)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.