mahw ho kar be-niyaz-e-ma-siwa ho jaiye
mahv ho kar be-niyāz-e-mā-sivā ho jā.iye
un se jab mil jā.iye sab se judā ho jā.iye
ḳhalvat-e-ġham kī ḳhamoshī meñ fanā ho jā.iye
yuuñ hayāt-afroz-e-nāmūs-e-vafā ho jā.iye
muntahā-e-manzil-e-jānāñ hai jab vāraftagī
kyuuñ na āvāra misāl-e-naqsh-e-pā ho jā.iye
shart-e-āzādī asīrī jab musallam ho chukī
toḌiye phir kyuuñ qafas ko kyuuñ rahā ho jā.iye
ālam-e-asbāb meñ paidā kiyā hai ḳhud mujhe
ḳhud taqāzā hai ki be-barg-o-navā ho jā.iye
aap kī āvāz meñ hai dāvat-e-manzil kā raaz
kārvān-e-shauq kī bāñg-e-darā ho jā.iye
hai fareb-e-rañg duniyā se ye tadbīr-e-gurez
sādagī-hā-e-mohabbat meñ fanā ho jā.iye
dījiye un ko kanār-e-ārzū par iḳhtiyār
jab vo hoñ āġhosh meñ be-dast-o-pā ho jā.iye
kyā ta.ajjub hai yahī ho un kā vaqt-e-ilitfāt
kyuuñ vafūr-e-yās se nāla-sarā ho jā.iye
ham to apnī be-ḳhudī-e-shauq meñ sarshār the
aap se kis ne kahā thā ḳhud-numā ho jā.iye
apnī sūrat meñ agar jalvagarī se hai hijāb
merī hī tasvīr meñ sūrat-numā ho jā.iye
parda-e-manzil meñ chhup-chhup kar tabassum kījiye
pā-shikasta kārvāñ kā aasrā ho jā.iye
ḳhud-baḳhud 'sīmāb' haiñ un kī nigāheñ multafit
hai ye vaqt-e-ḳhās masrūf-e-duā ho jā.iye
mahw ho kar be-niyaz-e-ma-siwa ho jaiye
un se jab mil jaiye sab se juda ho jaiye
KHalwat-e-gham ki KHamoshi mein fana ho jaiye
yun hayat-afroz-e-namus-e-wafa ho jaiye
muntaha-e-manzil-e-jaanan hai jab waraftagi
kyun na aawara misal-e-naqsh-e-pa ho jaiye
shart-e-azadi asiri jab musallam ho chuki
toDiye phir kyun qafas ko kyun raha ho jaiye
aalam-e-asbab mein paida kiya hai KHud mujhe
KHud taqaza hai ki be-barg-o-nawa ho jaiye
aap ki aawaz mein hai dawat-e-manzil ka raaz
karwan-e-shauq ki bang-e-dara ho jaiye
hai fareb-e-rang duniya se ye tadbir-e-gurez
sadagi-ha-e-mohabbat mein fana ho jaiye
dijiye un ko kanar-e-arzu par iKHtiyar
jab wo hon aaghosh mein be-dast-o-pa ho jaiye
kya tajjub hai yahi ho un ka waqt-e-ilitfat
kyun wafur-e-yas se nala-sara ho jaiye
hum to apnī be-KHudi-e-shauq mein sarshaar the
aap se kis ne kaha tha KHud-numa ho jaiye
apnī surat mein agar jalwagari se hai hijab
meri hi taswir mein surat-numa ho jaiye
parda-e-manzil mein chhup-chhup kar tabassum kijiye
pa-shikasta karwan ka aasra ho jaiye
KHud-baKHud 'simab' hain un ki nigahen multafit
hai ye waqt-e-KHas masruf-e-dua ho jaiye
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 293)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.