mai rahe masti rahe gardish mein paimana rahe
mai rahe masti rahe gardish mein paimana rahe
Mujeebul Haque Kamali
MORE BYMujeebul Haque Kamali
mai rahe mastī rahe gardish meñ paimāna rahe
majma.a-e-rindāñ rahe aur pīr-e-mai-ḳhāna rahe
duur hue sharāb-o-shauq-o-sāqī mast-e-nāz
sadr-e-majlis ḳhud rahe aur josh-e-mastāna rahe
jubba-o-dastār rahn-e-mai rahe sāġhar-ba-kaf
mohtasib bhī mast ho hoshiyār dīvāna rahe
mai pilā aisī ki saaqī tere hī ruḳhsār kā
mahv-e-nazzāra rahūñ andāz-e-rindāna rahe
hai ḳharāb-e-bāda-e-sāqi 'kamālī' kī duā
hashr tak yā bul-hasan ābād mai-ḳhāna rahe
mai rahe masti rahe gardish mein paimana rahe
majma-e-rindan rahe aur pir-e-mai-KHana rahe
dur hue sharab-o-shauq-o-saqi mast-e-naz
sadr-e-majlis KHud rahe aur josh-e-mastana rahe
jubba-o-dastar rahn-e-mai rahe saghar-ba-kaf
mohtasib bhi mast ho hoshiyar diwana rahe
mai pila aisi ki saqi tere hi ruKHsar ka
mahw-e-nazzara rahun andaz-e-rindana rahe
hai KHarab-e-baada-e-saqi 'kamali' ki dua
hashr tak ya bul-hasan aabaad mai-KHana rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.