main tere Dar se ro nahin sakta
maiñ tire Dar se ro nahīñ saktā
gard-e-ġham dil se dho nahīñ saktā
ashk yuuñ tham rahe haiñ mizhgāñ par
koī motī piro nahīñ saktā
shab mirā shor-e-girya sun ke kahā
maiñ to is ġhul meñ so nahīñ saktā
maslahat tark-e-ishq hai nāseh
lek ye ham se ho nahīñ saktā
kuchh 'bayāñ' tuḳhm-e-dostī ke sivā
mazra-e-dil meñ bo nahīñ saktā
main tere Dar se ro nahin sakta
gard-e-gham dil se dho nahin sakta
ashk yun tham rahe haiñ mizhgan par
koi moti piro nahin sakta
shab mera shor-e-girya sun ke kaha
main to is ghul meñ so nahin sakta
maslahat tark-e-ishq hai naseh
lek ye hum se ho nahin sakta
kuchh 'bayan' tuKHm-e-dosti ke siwa
mazra-e-dil meñ bo nahin sakta
- Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 86)
- Author : Ahsanullaah Khan Bayan
- Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.