kabhi ahl-e-junun bhi maslahat se kaam lete hain
kabhi ahl-e-junun bhi maslahat se kaam lete hain
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
kabhī ahl-e-junūñ bhī maslahat se kaam lete haiñ
tumheñ jab yaad karte haiñ ḳhudā kā naam lete haiñ
vo mast-e-nāz jab duzdīda nazroñ se pilātā hai
ḳhudī vaale bhī dast-e-be-kHudī se jaam lete haiñ
qiyāmat dam-ba-ḳhud hai ġhamza turkāna-e-shashdar hai
ḳhudā ke sāmne vo aaj merā naam lete haiñ
rah-e-ulfat meñ har-har gaam par laġhzish hai 'maikash' ko
sunā ye hai ki vo girte huoñ ko thaam lete haiñ
kabhi ahl-e-junun bhi maslahat se kaam lete hain
tumhein jab yaad karte hain KHuda ka nam lete hain
wo mast-e-naz jab duzdida nazron se pilata hai
KHudi wale bhi dast-e-be-kHudi se jam lete hain
qiyamat dam-ba-KHud hai ghamza turkana-e-shashdar hai
KHuda ke samne wo aaj mera nam lete hain
rah-e-ulfat mein har-har gam par laghzish hai 'maikash' ko
suna ye hai ki wo girte huon ko tham lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.