tu apna karwan le chal na gham kar mere zarron ka
tu apna karwan le chal na gham kar mere zarron ka
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
tu apnā kārvāñ le chal na ġham kar mere zarroñ kā
inhīñ zarroñ se ho jā.egā phir ik kārvāñ paidā
hamārī saḳht-jānī se huā shal haath qātil kā
sar-e-maqtal hī ham ne kar liyā dārul-amāñ paidā
vahī hai ek mastī sī vahāñ nazroñ meñ yaañ dil meñ
vahī hai ek shorish sī vahāñ pinhāñ yahāñ paidā
zarā tum ne nazar pherī ki jaise kuchh na thā dil meñ
zarā tum muskurā.e ho gayā phir ik jahāñ paidā
tavaqqo.a hai ki badlegā zamāna lekin ai 'maikash'
zamāna hai yahī to ho chuke insān yaañ paidā
tu apna karwan le chal na gham kar mere zarron ka
inhin zarron se ho jaega phir ek karwan paida
hamari saKHt-jaani se hua shal hath qatil ka
sar-e-maqtal hi hum ne kar liya darul-aman paida
wahi hai ek masti si wahan nazron mein yan dil mein
wahi hai ek shorish si wahan pinhan yahan paida
zara tum ne nazar pheri ki jaise kuchh na tha dil mein
zara tum muskurae ho gaya phir ek jahan paida
tawaqqoa hai ki badlega zamana lekin ai 'maikash'
zamana hai yahi to ho chuke insan yan paida
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 289)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.