Sufinama

un ke jalwon hi mein ho sirf jo ai soz-e-darun

Maikash Akbarabadi

un ke jalwon hi mein ho sirf jo ai soz-e-darun

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    un ke jalvoñ meñ ho sirf jo ai soz-e-darūñ

    kyā milegā mere chehre se numāyāñ ho kar

    ab añdherā añdherā hai zamāne bhar meñ

    kyā huā ye tirī mahfil meñ charāġhāñ ho kar

    zabt ne dil meñ lagā.ī thī jo ik muddat meñ

    vo girah khol zulfoñ ne pareshāñ ho kar

    ab jahāñ chāhūñ banā luuñ maiñ ghar apnā 'maikash'

    baḌh ga.ī aur bhī vus.at mirī vīrāñ ho kar

    un ke jalwon hi mein ho sirf jo ai soz-e-darun

    kya milega mere chehre se numayan ho kar

    ab andhera hi andhera hai zamane bhar mein

    kya hua ye teri mahfil mein charaghan ho kar

    zabt ne dil mein lagai thi jo ek muddat mein

    wo girah khol di zulfon ne pareshan ho kar

    ab jahan chahun bana lun main ghar apna 'maikash'

    baDh gai aur bhi wusat meri viran ho kar

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 289)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now