Sufinama

KHizan ki tegh pe hai KHun-e-nastaran baqi

Maikash Akbarabadi

KHizan ki tegh pe hai KHun-e-nastaran baqi

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    ḳhizāñ teġh pe hai ḳhūn-e-nastaran baaqī

    abhī hai rañg-e-chaman nig.hat-e-chaman baaqī

    badal gayā hai chaman meñ mizāj-e-lāla-o-gul

    hai ik mujhī meñ tirī bū-e-pairahan baaqī

    huā zamāna ki raste haiñ ishq ke vīrāñ

    na rāh-rau koī hai na rāhzan baaqī

    chale the chand qadam vo mere saath magar

    hai aaj tak rah-e-ulfat meñ bāñkpan baaqī

    fasāne kyā mirī vāraftagī ke taaza haiñ

    nahīñ to zulf-e-butāñ meñ hai kyuuñ shikan baaqī

    mujhī ko qadr-e-zamāna nahīñ hai ai 'maikash'

    vagarna hai to zamāne meñ qadr-e-fan baaqī

    KHizan ki tegh pe hai KHun-e-nastaran baqi

    abhi hai rang-e-chaman nighat-e-chaman baqi

    badal gaya hai chaman mein mizaj-e-lala-o-gul

    hai ek mujhi mein teri bu-e-pairahan baqi

    hua zamana ki raste hain ishq ke viran

    na rah-rau hi koi hai na rahzan baqi

    chale the chand qadam hi wo mere sath magar

    hai aaj tak rah-e-ulfat mein bankpan baqi

    fasane kya meri waraftagi ke taza hain

    nahin to zulf-e-butan mein hai kyun shikan baqi

    mujhi ko qadr-e-zamana nahin hai ai 'maikash'

    wagarna hai to zamane mein qadr-e-fan baqi

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 291)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now