husn ho gaya aaKHir ishq-e-raegan apna
husn ho gayā āḳhir 'ishq-e-rā.egāñ apnā
ban gayā nishāñ un kā miT ke har nishāñ apnā
maiñ jahāñ se uThThā huuñ zauq-e-rang-o-bū le kar
kyā huā jahāñ terā DhūñD ab nishāñ apnā
ibtidā-e-jāda par phir palaT ke aa pahuñchā
kāmyāb-e-manzil hai aaj kārvāñ apnā
har qadam uThātā hai un ke chashm-o-abrū par
un kā aadmī niklā mīr-e-kārvāñ apnā
kis tarh hue rusvā husn-o-'ishq kyā kahiye
husn un kā rāz-e-dil rāz-e-dil 'ayāñ apnā
hāl-e-ārzū kyā hai kyā batā.eñ ai 'maikash'
aañkh fitna-gar un kī dil hai be-zabāñ apnā
husn ho gaya aaKHir 'ishq-e-raegan apna
ban gaya nishan un ka miT ke har nishan apna
main jahan se uThTha hun zauq-e-rang-o-bu le kar
kya hua jahan tera DhunD ab nishan apna
ibtida-e-jada par phir palaT ke aa pahuncha
kaamyab-e-manzil hai aaj karwan apna
har qadam uThata hai un ke chashm-o-abru par
un ka aadmi nikla mir-e-karwan apna
kis tarh hue ruswa husn-o-'ishq kya kahiye
husn un ka raaz-e-dil raaz-e-dil 'ayan apna
haal-e-arzu kya hai kya bataen ai 'maikash'
aankh fitna-gar un ki dil hai be-zaban apna
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 93)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.