tera sab kuchh yahi duniya hai mera kya hai duniya mein
tera sab kuchh yahi duniya hai mera kya hai duniya mein
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
tirā sab kuchh yahī duniyā hai merā kyā hai duniyā meñ
mujhe jaanā hai duniyā se tujhe rahnā hai duniyā meñ
haqīqat kā mañ juuyā aur tū munkir haqīqat kā
jo ḳhud dushman ho apnā us se kyā mauqa' shikāyat kā
jo pāband-e-havas ho raaz kyā samjhe mohabbat kā
havas kī qaid se baalā hai me'yār apnī ulfat kā
tirī hadd-e-nazar shāhid-faroshī kī dukāñ tak hai
mirī parvāz kī vus'at makāñ se lā-makāñ tak hai
mañ huuñ parde ke andar aur tū parde ko taktā hai
hai lailā merā maqsad aur tujhe mahmil pe saktā hai
jo shāhid haiñ zamāne ke mirī ’ismat ke shāhid haiñ
jo masjūd-e-zamāna haiñ vo mere dar pe sājid haiñ
tera sab kuchh yahi duniya hai mera kya hai duniya mein
mujhe jaana hai duniya se tujhe rahna hai duniya mein
haqiqat ka man juya aur tu munkir haqiqat ka
jo KHud dushman ho apna us se kya mauqa' shikayat ka
jo paband-e-hawas ho raaz kya samjhe mohabbat ka
hawas ki qaid se baala hai me'yar apni ulfat ka
teri hadd-e-nazar shahid-faroshi ki dukan tak hai
meri parwaz ki wus'at makan se la-makan tak hai
man hun parde ke andar aur tu parde ko takta hai
hai laila mera maqsad aur tujhe mahmil pe sakta hai
jo shahid hain zamane ke meri ’ismat ke shahid hain
jo masjud-e-zamana hain wo mere dar pe sajid hain
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 171)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.