wo chand lamhe jo guzre hain teri KHidmat mein
vo chand lamhe jo guzre haiñ terī ḳhidmat meñ
na hote vo bhī to is zindagī kā kyā karte
hameñ to mar ke bhī rahnā hai yaad meñ terī
na terī yaad meñ jiite to aur kyā karte
magar ki ziist kā maqsad thā aasrā terā
ki ziist ḳhatm huī terā aasrā karte
tū ḳhud hī jān-e-tamannā hai aarzū kī bahār
tire nisār-e-tamannā bhī tujh se kyā karte
maiñ jaan letā mujhī meñ nahīñ hai jur.at-e-'arz
vo ek baar nazar hī ko āshnā karte
wo chand lamhe jo guzre hain teri KHidmat mein
na hote wo bhi to is zindagi ka kya karte
hamein to mar ke bhi rahna hai yaad mein teri
na teri yaad mein jite to aur kya karte
magar ki zist ka maqsad tha aasra tera
ki zist KHatm hui tera aasra karte
tu KHud hi jaan-e-tamanna hai aarzu ki bahaar
tere nisar-e-tamanna bhi tujh se kya karte
main jaan leta mujhi mein nahin hai jurat-e-'arz
wo ek bar nazar hi ko aashna karte
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.