ye kyun kahun ki nahin aashna zamane mein
ye kyuuñ kahūñ ki nahīñ āshnā zamāne meñ
vahī hai kaif hai jis ko mire satāne meñ
ḳhudā ke naam pe karte haiñ ham butoñ se vafā
na ho jo qadr vafā kī nahīñ zamāne meñ
hamārā soz bhī hai zeb har bayāñ lekin
tumhīñ ho jān-e-fasāna har ik fasāne meñ
shikan jabīñ pe hai aur zer-e-lab tabassum hai
nazar meñ rahm taraddud hai rahm khāne meñ
ḳhalish to thī maiñ ḳhalish se magar fuzūñ taḌpā
use bhī aaj mazā āgayā satāne meñ
hai ḳhānqāh meñ be-jā talāsh 'maikash' kī
mileñge aap ko hazrat sharāb-ḳhāne meñ
ye kyun kahun ki nahin aashna zamane mein
wahi hai kaif hai jis ko mere satane mein
KHuda ke nam pe karte hain hum buton se wafa
na ho jo qadr wafa ki nahin zamane mein
hamara soz bhi hai zeb har bayan lekin
tumhin ho jaan-e-fasana har ek fasane mein
shikan jabin pe hai aur zer-e-lab tabassum hai
nazar mein rahm taraddud hai rahm khane mein
KHalish to thi main KHalish se magar fuzun taDpa
use bhi aaj maza aagaya satane mein
hai KHanqah mein be-ja talash 'maikash' ki
milenge aap ko hazrat sharab-KHane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.