wahshaton mein dil ki jamiyyat ka saman ho gaya
wahshaton mein dil ki jamiyyat ka saman ho gaya
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
vahshatoñ meñ dil kī jam.iyyat kā sāmāñ ho gayā
ādamiyat se huā ḳhārij to insāñ ho gayā
bhar ga.iiñ āñkhoñ meñ terī bazm kī rañgīniyāñ
maiñ ne dekhā jis bayābāñ ko gulistāñ ho gayā
is adā se maiñ ne dekhe daaġh apne ḳhuun ke
ik tamāshā roz-e-mahshar un kā dāmāñ ho gayā
kar chuke bas tum ilāj-e-dard-e-pinhāñ kar chuke
ho gayā tum se ilāj-e-dard-e-pinhāñ ho gayā
hai ḳhayāl anjām kā ai tuf bar-anjām-e-ḳhayāl
dekh kar mahfil ko merā jī pareshāñ ho gayā
kaun hai aisā pujārī dair meñ ab ai buto
kyā karoge tum agar 'maikash' musalmāñ ho gayā
wahshaton mein dil ki jamiyyat ka saman ho gaya
aadamiyat se hua KHarij to insan ho gaya
bhar gain aankhon mein teri bazm ki ranginiyan
main ne dekha jis bayaban ko gulistan ho gaya
is ada se main ne dekhe dagh apne KHun ke
ek tamasha roz-e-mahshar un ka daman ho gaya
kar chuke bas tum ilaj-e-dard-e-pinhan kar chuke
ho gaya tum se ilaj-e-dard-e-pinhan ho gaya
hai KHayal anjam ka ai tuf bar-anjam-e-KHayal
dekh kar mahfil ko mera ji pareshan ho gaya
kaun hai aisa pujari dair mein ab ai buto
kya karoge tum agar 'maikash' musalman ho gaya
- Book : Maikada (Pg. 51)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.