tum par hi tabiat hai uftad tabiat ki
tum par hī tabī'at hai uftād tabī'at kī
tum se hī mohabbat hai taqdīr mohabbat kī
dīvāna huuñ maiñ phir bhī ġhairat hai sharāfat kī
lekin tire ġhusse meñ hai shaan muravvat kī
tum aur ho āmāda is tarh tarahhum par
qismat meñ tabāhī thī nākām-e-mohabbat kī
dil ne bhī tumheñ taakā tum ne bhī jalāyā dil
dil ne bhī qiyāmat kī tum ne bhī qiyāmat kī
taqsīr jo pūchho to mere hī junūñ kī hai
tum ne jo sharārat kī hai 'umr sharārat kī
kuchh dekh ke 'maikash' kī ulfat kā yaqīñ karnā
har baat meñ shoḳhī hai is riñd-tabī'at kī
tum par hi tabi'at hai uftad tabi'at ki
tum se hi mohabbat hai taqdir mohabbat ki
diwana hun main phir bhi ghairat hai sharafat ki
lekin tere ghusse mein hai shan murawwat ki
tum aur ho aamada is tarh tarahhum par
qismat mein tabahi thi nakaam-e-mohabbat ki
dil ne bhi tumhein taka tum ne bhi jalaya dil
dil ne bhi qiyamat ki tum ne bhi qiyamat ki
taqsir jo puchho to mere hi junun ki hai
tum ne jo shararat ki hai 'umr shararat ki
kuchh dekh ke 'maikash' ki ulfat ka yaqin karna
har baat mein shoKHi hai is rind-tabi'at ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.