Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

teri mahfil se kuchh is haal mein hum aate hain

Maikash Akbarabadi

teri mahfil se kuchh is haal mein hum aate hain

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    terī mahfil se kuchh is haal meñ ham aate haiñ

    jaise maqtal se shahīdoñ ke 'alam aate haiñ

    terī nazroñ meñ to kuchh sahr hai zālim varna

    apne qaabū meñ bhī mushkil se ham aate haiñ

    sun ke rah jaate haiñ ham dekh ke jab log tumheñ

    kahte haiñ dekhiye vo ahl-e-karam aate haiñ

    ham bhī baiThe haiñ ḳhafā jaan se ai jur.at-e-shauq

    haath meñ vo bhī liye teġh do dam aate haiñ

    ghar mirā kā'ba hai majlis-e-mātam 'maikash'

    naaz aate haiñ ab un ko na sitam aate haiñ

    teri mahfil se kuchh is haal mein hum aate hain

    jaise maqtal se shahidon ke 'alam aate hain

    teri nazron mein to kuchh sahr hai zalim warna

    apne qabu mein bhi mushkil hi se hum aate hain

    sun ke rah jate hain hum dekh ke jab log tumhein

    kahte hain dekhiye wo ahl-e-karam aate hain

    hum bhi baiThe hain KHafa jaan se ai jurat-e-shauq

    hath mein wo bhi liye tegh do dam aate hain

    ghar mera ka'ba hai ya majlis-e-matam 'maikash'

    naz aate hain ab un ko na sitam aate hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now