kaise kah dun ki koi zinat-e-aghosh na tha
kaise kah duuñ ki koī zīnat-e-āġhosh na thā
ik subūt us kā yahī hai ki mujhe hosh na thā
lazzat-e-dard ne duurī ko banāyā manzil
varna is kaif ke 'ālam vo rū-posh na thā
jaan denā hī thā maqsūd mohabbat meñ mujhe
aap samjhe ki mohabbat meñ mujhe hosh na thā
thā qiyāmat kā na honā bhī qiyāmat mujh ko
dil sitam-kosh thā jis dam vo sitam-kosh na thā
hujūm-e-vā'z meñ aur barsar-e-mimbar afsos
aaj masjid meñ magar ‘maikash’-e-mai-nosh na thā
kaise kah dun ki koi zinat-e-aghosh na tha
ek subut us ka yahi hai ki mujhe hosh na tha
lazzat-e-dard ne duri ko banaya manzil
warna is kaif ke 'alam wo ru-posh na tha
jaan dena hi tha maqsud mohabbat mein mujhe
aap samjhe ki mohabbat mein mujhe hosh na tha
tha qiyamat ka na hona bhi qiyamat mujh ko
dil sitam-kosh tha jis dam wo sitam-kosh na tha
hujum-e-wa'z mein aur barsar-e-mimbar afsos
aaj masjid mein magar ‘maikash’-e-mai-nosh na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.