Sufinama

naqsh koi mere sajdon ke siwa milta nahin

Azmat Hussain Khan

naqsh koi mere sajdon ke siwa milta nahin

Azmat Hussain Khan

MORE BYAzmat Hussain Khan

    naqsh koī mere sajdoñ ke sivā miltā nahīñ

    rah-guzar meñ ab tumhārā naqsh-e-pā miltā nahīñ

    TuuT kar bhī ik nigāh-e-multafit se juḌ sake

    koī aisā ā.īna dil ke sivā miltā nahīñ

    DhūñDne manzil ko kyā niklūñ vufūr-e-shauq meñ

    mahviyat ye hai ki ḳhud apnā pata miltā nahīñ

    ye vo ne'amat hai ki miltī hai achānak kabhī

    qadr kar is ki dard-e-lā-davā miltā nahīñ

    dahr meñ mai-kash vafādārī ke jazbe ab kahāñ

    is ḳharābe meñ kahīñ naqsh-e-vafā miltā nahīñ

    naqsh koi mere sajdon ke siwa milta nahin

    rah-guzar mein ab tumhaara naqsh-e-pa milta nahin

    TuT kar bhi ek nigah-e-multafit se juD sake

    koi aisa aaina dil ke siwa milta nahin

    DhunDne manzil ko kya niklun wufur-e-shauq mein

    mahwiyat ye hai ki KHud apna pata milta nahin

    ye wo ne'amat hai ki milti hai achanak hi kabhi

    qadr kar is ki ki dard-e-la-dawa milta nahin

    dahr mein mai-kash wafadari ke jazbe ab kahan

    is KHarabe mein kahin naqsh-e-wafa milta nahin

    Source :
    • Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 22)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now