ye bhi ji chura baiThi bar-e-gham uThane se
ye bhī jī churā baiThī bār-e-ġham uThāne se
ziist de ga.ī dhokā maut ke bahāne se
fitrat-e-mohabbat kā rañg hī nirālā hai
yaad aa.e jaate haiñ aur vo bhulāne se
nā’ra-e-anal-haq se ham to sirf ye samjhe
baat thī chhupāne kī kah ga.e zamāne se
paḌ ga.ī haiñ buniyādeñ har jagah nasheman kī
gir ga.e the kuchh tinke mere āshiyāne se
aap ho ga.e nālāñ maut hoga.ī āsāñ
ḳhatm ho gayā tūfāñ dil ke Duub jaane se
ḳhud se be-ḳhabar hokar dil se ek sajda kar
bandagī nahīñ hotī sirf sar jhukāne se
dostoñ se ai 'mai-kash' be-ruḳhī kā shikva kyā
rasm hī mohabbat kī uTh ga.ī zamāne se
ye bhi ji chura baiThi bar-e-gham uThane se
zist de gai dhoka maut ke bahane se
fitrat-e-mohabbat ka rang hi nirala hai
yaad aae jate hain aur wo bhulane se
na’ra-e-anal-haq se hum to sirf ye samjhe
baat thi chhupane ki kah gae zamane se
paD gai hain buniyaaden har jagah nasheman ki
gir gae the kuchh tinke mere aashiyane se
aap ho gae nalan maut hogai aasan
KHatm ho gaya tufan dil ke Dub jaane se
KHud se be-KHabar hokar dil se ek sajda kar
bandagi nahin hoti sirf sar jhukane se
doston se ai 'mai-kash' be-ruKHi ka shikwa kya
rasm hi mohabbat ki uTh gai zamane se
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 30)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.