do chaar hi rindon pe nazar teri paDi hai
do chaar hī rindoñ pe nazar terī paḌī hai
ai sāqī-e-daurāñ merā dāman bhī tahī hai
ḳhud-rā.ī kā ilzām bhī lagtā hai mujhī par
aur jabr-e-mashiyat meñ bhī merī hī ḳhushī hai
e'jāz to dekho mirī gum-karda rahī kā
ḳhud manzil-e-jānāñ bhī mujhe DhūñDh rahī hai
mamnūn huuñ un kī nigah-e-soz-asar kā
ik aag sī siine meñ lagī chhoḌ ga.ī hai
vo bol rahe the ki ye dil bol rahā thā
un kī sī abhī dil ne ik āvāz sunī hai
sūraj mere ḳhvāboñ kā chamakne ko hai 'mai-kash'
ummīd kī har samt karan phuuT rahī hai
do chaar hi rindon pe nazar teri paDi hai
ai saqi-e-dauran mera daman bhi tahi hai
KHud-rai ka ilzam bhi lagta hai mujhi par
aur jabr-e-mashiyat mein bhi meri hi KHushi hai
e'jaz to dekho meri gum-karda rahi ka
KHud manzil-e-jaanan bhi mujhe DhunDh rahi hai
mamnun hun un ki nigah-e-soz-asar ka
ek aag si sine mein lagi chhoD gai hai
wo bol rahe the ki ye dil bol raha tha
un ki si abhi dil ne ek aawaz suni hai
suraj mere KHwabon ka chamakne ko hai 'mai-kash'
ummid ki har samt karan phuT rahi hai
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 31)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.