kaif se mamur hai mera shabab-e-zindagi
kaif se mā'mūr hai merā shabāb-e-zindagī
chashm-e-sāqī se kiyā hai iktisāb zindagī
aa ga.e tum dil meñ sab jaatī rahīñ tārīkiyāñ
jaise raushan ho gayā ho āftāb-e-zindagī
un ke istifsār par āñkhoñ se do aañsū gire
ham ne un ke sāmne rakh dī kitāb-e-zindagī
dil hī duniyā dil hī 'uqbā dil hī fitrat dil hī 'ishq
sirf do lafzoñ kā majmūa hai bāb-e-zindagī
jitne the behosh sab aane lage haiñ hosh meñ
baT rahī hai aaj mahshar meñ sharāb-e-zindagī
tishna rah jaa.e na dars-e-dard-e-be-tābī koī
khol de ai iztirāb-e-dil kitāb-e-zindagī
haiñ mirī ḳhāmoshiyāñ kaafī shab-e-furqat mujhe
kyuuñ sitāre chheḌ dete haiñ rubāb-e-zindagī
ye dil-e-'maikash' azal meñ jaane kis hālat meñ thā
ban gayā hai zindagī pākar 'azāb-e-zindagī
kaif se ma'mur hai mera shabab-e-zindagi
chashm-e-saqi se kiya hai iktisab zindagi
aa gae tum dil mein sab jati rahin tarikiyan
jaise raushan ho gaya ho aaftab-e-zindagi
un ke istifsar par aankhon se do aansu gire
hum ne un ke samne rakh di kitab-e-zindagi
dil hi duniya dil hi 'uqba dil hi fitrat dil hi 'ishq
sirf do lafzon ka majmua hai bab-e-zindagi
jitne the behosh sab aane lage hain hosh mein
baT rahi hai aaj mahshar mein sharab-e-zindagi
tishna rah jae na dars-e-dard-e-be-tabi koi
khol de ai iztirab-e-dil kitab-e-zindagi
hain meri KHamoshiyan kafi shab-e-furqat mujhe
kyun sitare chheD dete hain rubab-e-zindagi
ye dil-e-'maikash' azal mein jaane kis haalat mein tha
ban gaya hai zindagi pakar 'azab-e-zindagi
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 46)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.