mujhko barah-e-rast jamal apna dikha de
mujh ko barāh-e-rāst jamāl apnā dikhā de
ai husn bas ab qaid hijāboñ kī uThā de
ye soz-e-mohabbat mujhe yuuñ aur mazā de
vo aa.e aur āhista se dāman kī havā de
ai mashq-e-tasavvur na nazar aa.e koī ġhair
har chiiz ko is shoḳh kī tasvīr banā de
dil soz pe maa.il hai nahīñ ḳhvāhish-e-taskīñ
ai dard ġham-e-dost ḳhalish aur baḌhā de
kyuuñ dil pe nazar Daalī thī kyuuñ pher liiñ āñkheñ
kab maiñ ne kahā thā ki lagā aur bujhā de
dekhā hai bahut aag lagāte hue 'mai-kash'
aisā bhī koī hai jo lagī dil kī bujhā de
mujh ko barah-e-rast jamal apna dikha de
ai husn bas ab qaid hijabon ki uTha de
ye soz-e-mohabbat mujhe yun aur maza de
wo aae aur aahista se daman ki hawa de
ai mashq-e-tasawwur na nazar aae koi ghair
har chiz ko is shoKH ki taswir bana de
dil soz pe mail hai nahin KHwahish-e-taskin
ai dard gham-e-dost KHalish aur baDha de
kyun dil pe nazar Dali thi kyun pher lin aankhen
kab main ne kaha tha ki laga aur bujha de
dekha hai bahut aag lagate hue 'mai-kash'
aisa bhi koi hai jo lagi dil ki bujha de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.