hanse aur zulf apne ruKH pe gira di
hañse aur zulf apne ruḳh pe girā dī
mirī shām-e-furqat kī muddat baḌhā dī
talātum ne yuuñ merī himmat baḌhā dī
har ek mauj par ek kashtī lagā dī
huzūr-e-mohabbat se kuchh to milā hai
ġhanīmat hai ai dil ġham-e-nā-murādī
na aa.e to bigḌī rahī dil kī duniyā
magar jab maiñ royā to ye muskurā dī
ka.ī baar un se bhī bad-zan huā huuñ
ġhazab hai mohabbat kī be-e'timādī
muqayyad na thā 'aam thā un kā jalva
jabīñ maiñ ne har āstāñ par jhukā dī
vahī kāmyāb-e-mohabbat hai 'maikash'
ki jis ne mohabbat meñ hastī miTā dī
hanse aur zulf apne ruKH pe gira di
meri sham-e-furqat ki muddat baDha di
talatum ne yun meri himmat baDha di
har ek mauj par ek kashti laga di
huzur-e-mohabbat se kuchh to mila hai
ghanimat hai ai dil gham-e-na-muradi
na aae to bigDi rahi dil ki duniya
magar jab main roya to ye muskura di
kai bar un se bhi bad-zan hua hun
ghazab hai mohabbat ki be-e'timadi
muqayyad na tha 'am tha un ka jalwa
jabin main ne har aastan par jhuka di
wahi kaamyab-e-mohabbat hai 'maikash'
ki jis ne mohabbat mein hasti miTa di
- Book : Arsh-e-Mohabbat (Pg. 50)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.