main husn ki nazron se jab mahw-e-tamasha tha
maiñ husn kī nazroñ se jab mahv-e-tamāshā thā
ai be-kHudī-e-dil kyā tuune mujhe dekhā thā
ye mere tasavvur meñ hairat-kada kis kā thā
ik a.alam-e-be-rañgī nazreñ thiiñ na jalvā thā
tū vahm ke parde meñ mahrūm-e-tamāshā thā
parda jise samjhā thā ġhāfil vahī jalvā thā
ġhairat ne gavārā kī har haal meñ ḳhāmoshī
fitrat se shikāyat bhī kī go na taqāzā thā
haiñ chāk-garebāñ ke tevar meñ shikan ab tak
kal a.alam-e-vahshat meñ kis ne mujhe chheḌā thā
har haal mere dil kā ik hāl-e-musalsal hai
pahle bhī ġham-e-fardā merā ġham-e-fardā thā
nāzuk sī shagufta sī āvāz ik aa.ī thī
kyā tum ne mujhe dil ke parde se pukārā thā
bijlī kī tarah vo to lahrā ke hue pinhāñ
maiñ kis se kahūñ merā maqsūd-e-nazar kyā thā
āsūdgī-e-zarf-e-nazāra pe martā huuñ
ik jalva-e-nāqis bhī taskīn-e-tamāshā thā
majbūr-e-ta'alluq huuñ jab ġhaur kiyā maiñ ne
duniyā to na thī dil meñ lekin ġham-e-duniyā thā
kyā halqa-e-vahshat se miltī unheñ āzādī
dīvānoñ kī duniyā meñ sahrā pas-e-sahrā thā
mujh ko shab-e-ġhurbat meñ kyuuñ mūnis-e-ġham miltā
jo kaam thā fitrat kā har haal meñ tanhā thā
'sīmāb' mohabbat ke ālām kā shikvā kyā
insāñ pe mohabbat kā in.aam bhī kyā kyā thā
main husn ki nazron se jab mahw-e-tamasha tha
ai be-kHudi-e-dil kya tune mujhe dekha tha
ye mere tasawwur mein hairat-kada kis ka tha
ek aalam-e-be-rangi nazren thin na jalwa tha
tu wahm ke parde mein mahrum-e-tamasha tha
parda jise samjha tha ghafil wahi jalwa tha
ghairat ne gawara ki har haal mein KHamoshi
fitrat se shikayat bhi ki go na taqaza tha
hain chaak-gareban ke tewar mein shikan ab tak
kal aalam-e-wahshat mein kis ne mujhe chheDa tha
har haal mere dil ka ek haal-e-musalsal hai
pahle bhi gham-e-farda mera gham-e-farda tha
nazuk si shagufta si aawaz ek aai thi
kya tum ne mujhe dil ke parde se pukara tha
bijli ki tarah wo to lahra ke hue pinhan
main kis se kahun mera maqsud-e-nazar kya tha
aasudgi-e-zarf-e-nazara pe marta hun
ek jalwa-e-naqis bhi taskin-e-tamasha tha
majbur-e-ta'alluq hun jab ghaur kiya main ne
duniya to na thi dil mein lekin gham-e-duniya tha
kya halqa-e-wahshat se milti unhen aazadi
diwanon ki duniya mein sahra pas-e-sahra tha
mujh ko shab-e-ghurbat mein kyun munis-e-gham milta
jo kaam tha fitrat ka har haal mein tanha tha
'simab' mohabbat ke aalam ka shikwa kya
insan pe mohabbat ka inam bhi kya kya tha
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 112)
- Publication : Fine Book Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.