main hun lazim ulfat ko mujhko lazim ulfat hai
maiñ huuñ lāzim ulfat ko mujh ko lāzim ulfat hai
maiñ huuñ apnī zarūrat se mujh se merī zarūrat hai
baa'd har ik nākāmī ke baḌhtī hai ummīd magar
pahle tumhārā shikvā thā ab apnī bhī shikāyat hai
tere sitam kā kyā shikvā tere karam kā kyā kahnā
jab bhī dil meñ hasrat thī ab bhī dil meñ hasrat hai
badlā hai ai shikva-e-dil kyā me'yār tamannā kā
varna jaisī pahle thī ab bhī un kī 'ināyat hai
tujh meñ ḳhū-e-sitam hai ho dil ko kyuuñ hai lazzat-e-ġham
shāyad merī tabī'at meñ shāmil terī tabī'at hai
yā ġham meñ bhī lazzat thī yā lazzat meñ bhī hai ġham
jis kī mohabbat rāhat thī us kā tasavvur aafat hai
yā vo ḳhud bhī 'maikash' the yā ab 'maikash' ḳhud hī nahīñ
kis se shurū’-e-ulfat thā kis pe ma.āl-e-ulfat hai
main hun lazim ulfat ko mujh ko lazim ulfat hai
main hun apni zarurat se mujh se meri zarurat hai
ba'd har ek nakaami ke baDhti hai ummid magar
pahle tumhaara shikwa tha ab apni bhi shikayat hai
tere sitam ka kya shikwa tere karam ka kya kahna
jab bhi dil mein hasrat thi ab bhi dil mein hasrat hai
badla hai ai shikwa-e-dil kya me'yar tamanna ka
warna jaisi pahle thi ab bhi un ki 'inayat hai
tujh mein KHu-e-sitam hai ho dil ko kyun hai lazzat-e-gham
shayad meri tabi'at mein shamil teri tabi'at hai
ya gham mein bhi lazzat thi ya lazzat mein bhi hai gham
jis ki mohabbat rahat thi us ka tasawwur aafat hai
ya wo KHud bhi 'maikash' the ya ab 'maikash' KHud hi nahin
kis se shuru’-e-ulfat tha kis pe maal-e-ulfat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.