main kis se kahun ai dil bas tujhko piya chahe
maiñ kis se kahauñ ai dil bas tujh ko piyā chāhe
sab kuchh maiñ karūñ arpan jo mujh ko piyā chāhe
is paap kī nagrī meñ har or añdherā hai
ujiyār meñ bas vo hai jo tujh ko piyā chāhe
is pyaar kī agnī ne tan-man ko jalā Daalā
phir bhī maiñ sakhī ḳhush huuñ dil tujh ko piyā chāhe
kahne ko har ik dulhan kahtī hai suhāgan huuñ
par vo hī suhāgan hai tū jis ko piyā chāhe
masjid hai ye mandir hai vo sāmne mai-ḳhāna
kis or maiñ ab jā۔ūñ ye dil to piyā chāhe
is rañg meñ ḳhush 'kāvish' is haal meñ hai raazī
jis haal meñ vo rakhe jis rañg ko piyā chāhe
main kis se kahaun ai dil bas tujh ko piya chahe
sab kuchh main karun arpan jo mujh ko piya chahe
is pap ki nagri mein har or andhera hai
ujiyar mein bas wo hai jo tujh ko piya chahe
is pyar ki agni ne tan-man ko jala Dala
phir bhi main sakhi KHush hun dil tujh ko piya chahe
kahne ko har ek dulhan kahti hai suhagan hun
par wo hi suhagan hai tu jis ko piya chahe
masjid hai ye mandir hai wo samne mai-KHana
kis or main ab ja۔un ye dil to piya chahe
is rang mein KHush 'kawish' is haal mein hai raazi
jis haal mein wo rakhe jis rang ko piya chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.