main kuchh samjhun ya kuchh bhi nahin hushiyar hun ya ghafil main hun
main kuchh samjhun ya kuchh bhi nahin hushiyar hun ya ghafil main hun
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
maiñ kuchh samjhūñ yā kuchh bhī nahīñ hushiyār huuñ yā ġhāfil maiñ huuñ
rahrav maiñ huuñ rahzan maiñ huuñ jaada maiñ huuñ manzil maiñ huuñ
ye mārka-e-husn-o-ulfat surḳhī hai mire afsāne kī
majnūñ maiñ huuñ sahrā maiñ huuñ lailā maiñ huuñ mahmil maiñ huuñ
hote haiñ atā nisbat se mirī har shai ko yahāñ alqāb-e-vajūd
dariyā maiñ huuñ kashtī maiñ huuñ tūfāñ maiñ huuñ sāhil maiñ huuñ
tū kyā jaane tū kyā samjhe rañg-e-majlis dāb-e-mahfil
zebā.ish-e-yak-mahfil tū hai āvāra-e-sad-mahfil maiñ huuñ
ye dard kī saarī shakleñ haiñ ye soz kī saarī shāneñ haiñ
tū kuchh ho ai sham.a-e-mahfil lekin saarī mahfil maiñ huuñ
maiñ yaad meñ terī rotā huuñ duniyā mire haal pe rotī hai
be-tāb-kun-e-yak-dil tū hai be-tāb-kun-e-sad-dil maiñ huuñ
'maikash' mire dam se baaqī hai duniyā meñ nishāñ māshūqoñ kā
ho jaan koī afsāne kī afsāna-nigār-e-dil maiñ huuñ
main kuchh samjhun ya kuchh bhi nahin hushiyar hun ya ghafil main hun
rahraw main hun rahzan main hun jada main hun manzil main hun
ye marka-e-husn-o-ulfat surKHi hai mere afsane ki
majnun main hun sahra main hun laila main hun mahmil main hun
hote hain ata nisbat se meri har shai ko yahan alqab-e-wajud
dariya main hun kashti main hun tufan main hun sahil main hun
tu kya jaane tu kya samjhe rang-e-majlis dab-e-mahfil
zebaish-e-yak-mahfil tu hai aawara-e-sad-mahfil main hun
ye dard ki sari shaklen hain ye soz ki sari shanen hain
tu kuchh ho ai shama-e-mahfil lekin sari mahfil main hun
main yaad mein teri rota hun duniya mere haal pe roti hai
be-tab-kun-e-yak-dil tu hai be-tab-kun-e-sad-dil main hun
'maikash' mere dam se baqi hai duniya mein nishan mashuqon ka
ho jaan koi afsane ki afsana-nigar-e-dil main hun
- Book : Maikada (Pg. 23)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.