main tere josh-e-karam par nigah karta hun
maiñ tere josh-e-karam par nigāh kartā huuñ
jabhī to umr ko vaqf-e-gunāh kartā huuñ
tere firāq meñ har-vaqt aah kartā huuñ
tere liye javānī tabāh kartā huuñ
baras ḳhudā ke liye mujh par ai sahāb-e-karam
ki terī aas pe phir ik gunāh kartā huuñ
simaT simaT ke utarte haiñ jalve siine meñ
jhuk jhuk ke jo un par nigāh kartā huuñ
ye qalb hī le pahuñchtā hai un ke kūche meñ
agarche laakh us ko intibāh kartā huuñ
main tere josh-e-karam par nigah karta hun
jabhi to umr ko waqf-e-gunah karta hun
tere firaq mein har-waqt aah karta hun
tere liye jawani tabah karta hun
baras KHuda ke liye mujh par ai sahab-e-karam
ki teri aas pe phir ek gunah karta hun
simaT simaT ke utarte hain jalwe sine mein
jhuk jhuk ke jo un par nigah karta hun
ye qalb hi le pahunchta hai un ke kuche mein
agarche lakh us ko intibah karta hun
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 188)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.