main wo koi hun jis ka KHudai mein nam hai
main wo koi hun jis ka KHudai mein nam hai
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
maiñ vo koī huuñ jis kā ḳhudā.ī meñ naam hai
kahte haiñ jis ko husn so mujh par tamām hai
'ālam meñ merī jalva-numā.ī kā har taraf
ġhauġhā hai ġhul hai shor hai aur dhūm-dhām hai
ḳhilqat ke kaan pur haiñ isī zikr se hue
har har zabān par yahī baat aur kalām hai
jis dil meñ dekhiye to hamārī hī chaah hai
jo aañkh hai so tak rahī ham ko mudām hai
har sar ke biich apnā hī saudā hai bhar rahā
apnī taḌap meñ resha-o-rag har kudām hai
dekhā hai jis ne husn hamārā ba-chashm-e-dil
ḳhūbān-e-is jahāñ se kab us ko kaam hai
hāzir hai bandagī meñ hamārī tamām ḳhalq
az 'arsh-tā-ba-farsh sab apnā ġhulām hai
rakhā hai ham se har koī rāz-o-'niyāz' shaiḳh
par ek 'niyāz' apnā mudār-ul-mahām hai
main wo koi hun jis ka KHudai mein nam hai
kahte hain jis ko husn so mujh par tamam hai
'alam mein meri jalwa-numai ka har taraf
ghaugha hai ghul hai shor hai aur dhum-dham hai
KHilqat ke kan pur hain isi zikr se hue
har har zaban par yahi baat aur kalam hai
jis dil mein dekhiye to hamari hi chah hai
jo aankh hai so tak rahi hum ko mudam hai
har sar ke bich apna hi sauda hai bhar raha
apni taDap mein resha-o-rag har kudam hai
dekha hai jis ne husn hamara ba-chashm-e-dil
KHuban-e-is jahan se kab us ko kaam hai
hazir hai bandagi mein hamari tamam KHalq
az 'arsh-ta-ba-farsh sab apna ghulam hai
rakha hai hum se har koi raaz-o-'niyaz' shaiKH
par ek 'niyaz' apna mudar-ul-maham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.