ye kaba se uTh kar sahab aa raha hai
ye ka.aba se uTh kar sahāb aa rahā hai
ki phir daur meñ inqalāb aa rahā hai
hadd-e-umr faanī hai ab ahd-e-pīrī
to kyuuñ yaad ahd-e-shabāb aa rahā hai
na kar mujh se mere gunāhoñ kī pursish
ki yaad hasratoñ kā hisāb aa rahā hai
haiñ tiflī hī kī shoḳhiyāñ hashr-ārā
qiyāmat kā fitna shabāb aa rahā hai
chaman kī havā hai ki zanjīr-e-pechāñ
jahān-e-junūñ par itaab aa rahā hai
havā se haiñ jumbish meñ phir un ke gesū
ruḳh-e-māh par phir sahāb aa rahā hai
ye kis shoḳh kī yaad aatī hai paiham
hai ruḳhsat sakūñ iztirāb aa rahā hai
'majīd' apnī hai sadd-e-rah rū-siyāhī
mujhe ka.aba jaate hijāb aa rahā hai
ye kaba se uTh kar sahab aa raha hai
ki phir daur mein inqalab aa raha hai
hadd-e-umr fani hai ab ahd-e-piri
to kyun yaad ahd-e-shabab aa raha hai
na kar mujh se mere gunahon ki pursish
ki yaad hasraton ka hisab aa raha hai
hain tifli hi ki shoKHiyan hashr-ara
qiyamat ka fitna shabab aa raha hai
chaman ki hawa hai ki zanjir-e-pechan
jahan-e-junun par itab aa raha hai
hawa se hain jumbish mein phir un ke gesu
ruKH-e-mah par phir sahab aa raha hai
ye kis shoKH ki yaad aati hai paiham
hai ruKHsat sakun iztirab aa raha hai
'majid' apni hai sadd-e-rah ru-siyahi
mujhe kaba jate hijab aa raha hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 271)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.