nawik-e-nazuki choT khae
nāvik-e-nāzukī choT khaa.e
dil ko lutf-e-ḳhalish haath aa.e
fātiha ko takalluf se aa.e
ḳhāk-e-turbat se dāman bachā.e
barq jab tinkā tinkā jalā.e
koī kyuuñ āshiyāñ phir banā.e
sar jo sañg-e-dar-e-yār paa.e
sar phirā ho to ka.aba ko jaa.e
aaj saaqī kuchh aisī pilā.e
be-ḳhudī fikr-e-kaunain jaa.e
haañ tajallī bhī taab āzmā.e
hosh uḌiiñ yā mujhe hosh aa.e
tū nigāhoñ meñ jis kī samā.e
kyuuñ nazar azmat-e-ġhair aa.e
ābla-pā saḳhāvat pe aa.e
ḳhārzāroñ ko gulshan banā.e
āsiyoñ meñ ḳhushī ke haiñ naġhme
shāfe'-e-hshar tashrīf laa.e
shān-e-kasrat meñ jalva-numā.ī
husn-e-vahdat nazar se bachā.e
jur.at-e-shāna aur moshgāfī
maañg adam kā na rasta dikhā.e
umr-e-shabnam ba-hadd-e-safar thī
chashm-e-nargis na kyuuñ DabDabā.e
bal jo taqdīr the gesūoñ ke
merī qismat ke hisse meñ aa.e
ek a.alam ko hai ye tamannā
tāb-e-jalva hai to āzmā.e
kāTnā hai shab-e-hijr mushkil
be-sutūñ se jū-e-shīr laa.e
hai nasīm-e-sahar koī afsūñ
gul khile najm shab jhilmilā.e
ishq ke daaġh tum ne diye the
vo diye qabr meñ kaam aa.e
uThīñ ka.aba se kaalī ghaTā.eñ
bāda-kash kyuuñ na sāġhar chaḌhā.e
ai majīd ab numūd-e-sahar hai
kyuuñ duā se hai tū haath uThā.e
nawik-e-nazuki choT khae
dil ko lutf-e-KHalish hath aae
fatiha ko takalluf se aae
KHak-e-turbat se daman bachae
barq jab tinka tinka jalae
koi kyun aashiyan phir banae
sar jo sang-e-dar-e-yar pae
sar phira ho to kaba ko jae
aaj saqi kuchh aisi pilae
be-KHudi fikr-e-kaunain jae
han tajalli bhi tab aazmae
hosh uDin ya mujhe hosh aae
tu nigahon mein jis ki samae
kyun nazar azmat-e-ghair aae
aabla-pa saKHawat pe aae
KHarzaron ko gulshan banae
aasiyon mein KHushi ke hain naghme
shafe'-e-hshar tashrif lae
shan-e-kasrat mein jalwa-numai
husn-e-wahdat nazar se bachae
jurat-e-shana aur moshgafi
mang adam ka na rasta dikhae
umr-e-shabnam ba-hadd-e-safar thi
chashm-e-nargis na kyun DabDabae
bal jo taqdir the gesuon ke
meri qismat ke hisse mein aae
ek aalam ko hai ye tamanna
tab-e-jalwa hai to aazmae
kaTna hai shab-e-hijr mushkil
be-sutun se ju-e-shir lae
hai nasim-e-sahar koi afsun
gul khile najm shab jhilmilae
ishq ke dagh tum ne diye the
wo diye qabr mein kaam aae
uThin kaba se kali ghaTaen
baada-kash kyun na saghar chaDhae
ai majid ab numud-e-sahar hai
kyun dua se hai tu hath uThae
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 272)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.