laga kar dil kisi se koi ruswa-e-jahan kyun ho
lagā kar dil kisī se koī rusvā-e-jahāñ kyuuñ ho
giraftār-e-balā-e-ġham-navā sanj-e-fuġhāñ kyuuñ ho
na kījiye gar sitam ham par to fariyād-o-fuġhāñ kyuuñ ho
rahe parda meñ gar ulfat ḳhalā.iq rāzdāñ kyuuñ ho
diyā hai ham ne dil apnā kisī kā kyā bigāḌā hai
zabān-e-ḳhalq par jaarī hamārī dāstāñ kyuuñ ho
jafā 'ādat tumhārī hai to phir ye mājrā kyā hai
batāo to adū tum ye bhalā phir mehrbāñ kyuuñ ho
taqāza aql kā hai zabt rakhnā soz-e-pinhāñ ko
kisī se kah ke rāz-e-ishq rusvā-e-jahāñ kyuuñ ho
na aa.e gar ḳhayāl-e-ġhamza-e-nāvik figan dil meñ
nafs nok-e-sinān ban ban ke pahlū meñ nihāñ kyuuñ ho
jī.e۔nge qum-be-iznillāh se kushte na ulfat ke
masīhā mo.ajiza apnā gañvāte rā.egāñ kyuuñ ho
ġharaz parda-nashīnī hai to baiTho ḳhāna-e-dil meñ
naqāb-e-afganda-e-mahfil meñ batāo to ayaañ kyuuñ ho
na khaTkā hai na vā hai chashm-e-dar phir ḳhauf kis kā hai
akele meñ hayā merī tumhāre darmiyāñ kyuuñ ho
kHayāl-e-qātil-e-īsa-nafs gar chhoḌ de ham ko
kashākash meñ ba-vaqt-e-naza.a jān-e-nā-tavāñ kyuuñ ho
banāyā 'be-kHudī' ne aap se be-ḳhud to phir kyā hai
zabān-e-ḳhalq kā khaTkā ḳhayāl-e-dushmanāñ kyuuñ ho
laga kar dil kisi se koi ruswa-e-jahan kyun ho
giraftar-e-bala-e-gham-nawa sanj-e-fughan kyun ho
na kijiye gar sitam hum par to fariyaad-o-fughan kyun ho
rahe parda mein gar ulfat KHalaiq raazdan kyun ho
diya hai hum ne dil apna kisi ka kya bigaDa hai
zaban-e-KHalq par jari hamari dastan kyun ho
jafa 'adat tumhaari hai to phir ye majra kya hai
batao to adu tum ye bhala phir mehrban kyun ho
taqaza aql ka hai zabt rakhna soz-e-pinhan ko
kisi se kah ke raaz-e-ishq ruswa-e-jahan kyun ho
na aae gar KHayal-e-ghamza-e-nawik figan dil mein
nafs nok-e-sinan ban ban ke pahlu mein nihan kyun ho
jie۔nge qum-be-iznillah se kushte na ulfat ke
masiha moajiza apna ganwate raegan kyun ho
gharaz parda-nashini hai to baiTho KHana-e-dil mein
naqab-e-afganda-e-mahfil mein batao to ayan kyun ho
na khaTka hai na wa hai chashm-e-dar phir KHauf kis ka hai
akele mein haya meri tumhaare darmiyan kyun ho
kHayal-e-qatil-e-isa-nafs gar chhoD de hum ko
kashakash mein ba-waqt-e-naza jaan-e-na-tawan kyun ho
banaya 'be-kHudi' ne aap se be-KHud to phir kya hai
zaban-e-KHalq ka khaTka KHayal-e-dushmanan kyun ho
- Book : Sawanih Umri Samiiullah KHan Bahadur (Pg. 210)
- Author : Munshi Zakaullah Dehlvi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.