yaro sanam ne hum ko KHuda se mila diya
yaaro sanam ne ham ko ḳhudā se milā diyā
parda uThā ke chehra-e-anvar dikhā diyā
dekh us kī raushnī ko maiñ hairat meñ āgayā
jalva dikhā ke saarī ḳhudī ko bhulā diyā
roz-e-azal se mast haiñ qaul-e-alast ke
qālū-balā kā jaam jo ham ko pilā diyā
e.ajāz-e-'īsvī qadam-e-dilrubā meñ hai
Thokar se apne paañv ke ham ko jilā diyā
'ḳhādim' duī ko chhoḌ ke jab yaar se milā
murshid ne rāh-e-fazl se rasta batā diyā
yaro sanam ne hum ko KHuda se mila diya
parda uTha ke chehra-e-anwar dikha diya
dekh us ki raushni ko main hairat mein aagaya
jalwa dikha ke sari KHudi ko bhula diya
roz-e-azal se mast hain qaul-e-alast ke
qalu-bala ka jam jo hum ko pila diya
eajaz-e-'iswi qadam-e-dilruba mein hai
Thokar se apne panw ke hum ko jila diya
'KHadim' dui ko chhoD ke jab yar se mila
murshid ne rah-e-fazl se rasta bata diya
- Book : Asrar-e-Haqiqat (Pg. 13)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.