shakl-e-insan mein KHuda hai mujhe malum hua
shakl-e-insan mein KHuda hai mujhe malum hua
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
shakl-e-insāñ meñ ḳhudā hai mujhe mā'lūm huā
maz.har ḳhaas banā hai mujhe mā'lūm huā
jab khulī aañkh haqīqat kī ye asrār khulā
haq hī nā-haq banā hai mujhe mā'lūm huā
jab khulī aañkh haqīqat kī ye asrār khulā
haq hī nā-haq to ḳhatā hai mujhe mā'lūm huā
hai ye kul nūr-e-mohammad se samjhe būjhe
kalimat-ul-haq ye khulā hai mujhe mā'lūm huā
ab batātā huuñ pata yaar ko paayā maiñ ne
ḳhāna-e-dil meñ milā hai mujhe mā'lūm huā
jo ki 'ḳhādim' hai vo ākHir ko safī hī samjho
ye suḳhan-e-haq hai bajā hai mujhe mā'lūm huā
shakl-e-insan mein KHuda hai mujhe ma'lum hua
mazhar KHas bana hai mujhe ma'lum hua
jab khuli aankh haqiqat ki ye asrar khula
haq hi na-haq bana hai mujhe ma'lum hua
jab khuli aankh haqiqat ki ye asrar khula
haq hi na-haq to KHata hai mujhe ma'lum hua
hai ye kul nur-e-mohammad se samjhe bujhe
kalimat-ul-haq ye khula hai mujhe ma'lum hua
ab batata hun pata yar ko paya main ne
KHana-e-dil mein mila hai mujhe ma'lum hua
jo ki 'KHadim' hai wo aakHir ko safi hi samjho
ye suKHan-e-haq hai baja hai mujhe ma'lum hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.