yaro na DhunDhyo kahin zinhaar dekhna
yaaro na DhūñDhyo kahīñ zinhār dekhnā
apne hī dil meñ yaar ko har baar dekhnā
dekho samajh ke dekhiyo us shoḳh chashm ko
sab sūratoñ meñ us ko tarah-dār dekhnā
chashm-e-siyāh yaar Dase hai jahān ko
tīr-e-nigah meñ us kī samm-e-mār dekhnā
jis dil meñ dekhiye vahī 'aalī maqām hai
har shai meñ bas isī ko numūdār dekhnā
īmān mirā bhī hai suno tum ba-gosh-e-dil
hargiz bhaTak na rahiyo ḳhabar-dār dekhnā
saudā ham apnā kar chuke bāzār-e-faqr meñ
sab 'āshiqoñ meñ ham ko ḳharīdār dekhnā
'ḳhādim' uThā chukā hai bahut 'ishq kā maza
sab lazzatoñ meñ us ko mazā-dār dekhnā
yaro na DhunDhyo kahin zinhaar dekhna
apne hi dil mein yar ko har bar dekhna
dekho samajh ke dekhiyo us shoKH chashm ko
sab suraton mein us ko tarah-dar dekhna
chashm-e-siyah yar Dase hai jahan ko
tir-e-nigah mein us ki samm-e-mar dekhna
jis dil mein dekhiye wahi 'ali maqam hai
har shai mein bas isi ko numudar dekhna
iman mera bhi hai suno tum ba-gosh-e-dil
hargiz bhaTak na rahiyo KHabar-dar dekhna
sauda hum apna kar chuke bazar-e-faqr mein
sab 'ashiqon mein hum ko KHaridar dekhna
'KHadim' uTha chuka hai bahut 'ishq ka maza
sab lazzaton mein us ko maza-dar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.