dekho sanam hamara kya KHub ban ke aaya
dekho sanam hamārā kyā ḳhuub ban ke aayā
aadam meñ aap aayā insān hī kahlāyā
sajda kiyā usī ko saarī malā.ika ne
qur.ān kī āyatoñ meñ mazkūr jis kā aayā
mā'shūq kī sifat ko kījiye bayāñ kahāñ tak
nairañgiyoñ se apnī kyā kyā hai rañg laayā
us shaah se mile haiñ shāh-e-jahāñ hue haiñ
is faqar kī badaulat kyā kyā maza uThāyā
bhaa.ī haiñ mere dil ko pyārī adā.eñ terī
jab se qadam pe tere maiñ ne hai sar jhukāyā
samjho zarā to yaaro tum shān-e-ahmadī ko
allāh kis tarah se har ghaT meñ hai samāyā
matlūb dil ke mere hāsil hue haiñ 'ḳhādim'
mahbūb ne hai jab se jalva hameñ dikhāyā
dekho sanam hamara kya KHub ban ke aaya
aadam mein aap aaya insan hi kahlaya
sajda kiya usi ko sari malaika ne
quran ki aayaton mein mazkur jis ka aaya
ma'shuq ki sifat ko kijiye bayan kahan tak
nairangiyon se apni kya kya hai rang laya
us shah se mile hain shah-e-jahan hue hain
is faqar ki badaulat kya kya maza uThaya
bhai hain mere dil ko pyari adaen teri
jab se qadam pe tere main ne hai sar jhukaya
samjho zara to yaro tum shan-e-ahmadi ko
allah kis tarah se har ghaT mein hai samaya
matlub dil ke mere hasil hue hain 'KHadim'
mahbub ne hai jab se jalwa hamein dikhaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.