jab se tujhse ye dil-e-zar dil-azar laga
jab se tujh se ye dil-e-zār dil-āzār lagā
yaad meñ rahtā huuñ har dam tirī ai yaar lagā
duī yaksū hue jām-e-mai-e-vahdat saaqī
diyā tuune jo mire hoñTh se ik baar lagā
nāḳhudā tū hī mirī kashtī kā ai nūr-e-ḳhudā
bahā jaatā huuñ ḳhudā rā mujhe ab paar lagā
dīn-o-duniyā se mujhe kaam nahīñ hai hargiz
tujhe ai jaan jahāñ jab se sarokār lagā
nazar-e-fazl-o-karam se mujhe mahrūm na kar
huuñ ġhulāmī meñ tirī haidar-e-karrār lagā
terī hī shakl hai bas aaTh pahar pesh-e-nazar
dil ko rahtā hai tirā dhyān jo dildār lagā
maiñ huuñ ḳhādim tirī nigāh kā mere maḳhdūm
hal huā terī nigah se jo mujhe kaar lagā
jab se tujh se ye dil-e-zar dil-azar laga
yaad mein rahta hun har dam teri ai yar laga
dui yaksu hue jam-e-mai-e-wahdat saqi
diya tune jo mere honTh se ek bar laga
naKHuda tu hi meri kashti ka ai nur-e-KHuda
baha jata hun KHuda ra mujhe ab par laga
din-o-duniya se mujhe kaam nahin hai hargiz
tujhe ai jaan jahan jab se sarokar laga
nazar-e-fazl-o-karam se mujhe mahrūm na kar
hun ghulami mein teri haidar-e-karrar laga
teri hi shakl hai bas aaTh pahar pesh-e-nazar
dil ko rahta hai tera dhyan jo dildar laga
main hun KHadim teri nigah ka mere maKHdum
hal hua teri nigah se jo mujhe kar laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.