ai dosto chashm ko khol zara dekho kaisa hai mah-e-laqa
ai dosto chashm ko khol zara dekho kaisa hai mah-e-laqa
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
ai dosto chashm ko khol zarā dekho kaisā hai māh-e-laqā
be-shak hai mohammad nūr-e-ḳhudā shu.bha na kar is meñ aslā
lā kar apne ta.iiñ il-lallāh sābit kar lo tab dekho maza
ham samjhe haiñ us ko ba-ḳhudā duniyā meñ nahīñ kuchh us ke sivā
vo chaar 'anāsir meñ hai chhupā ye ram kyā hai samjho to bhalā
āñkhoñ meñ hai din-rāt basā hai vo hī 'ayāñ dekho har jā
kahīñ kā'ba meñ jā kar shaiḳh banā kahīñ jā ke barahman dair huā
kahīñ ḳhāna-e-dil meñ maqām kiyā kahīñ apnā hī aadam naam kiyā
maḳhdūm safī 'ḳhādim' huuñ dargāh tirī maskan jo mirā
terī zulf kā thā mujh ko saudā achchhā huā jab tū mujh ko milā
ai dosto chashm ko khol zara dekho kaisa hai mah-e-laqa
be-shak hai mohammad nur-e-KHuda shubha na kar is mein asla
la kar apne tain il-lallah sabit kar lo tab dekho maza
hum samjhe hain us ko ba-KHuda duniya mein nahin kuchh us ke siwa
wo chaar 'anasir mein hai chhupa ye ram kya hai samjho to bhala
aankhon mein hai din-raat basa hai wo hi 'ayan dekho har ja
kahin ka'ba mein ja kar shaiKH bana kahin ja ke barahman dair hua
kahin KHana-e-dil mein maqam kiya kahin apna hi aadam nam kiya
maKHdum safi 'KHadim' hun dargah teri maskan jo mera
teri zulf ka tha mujh ko sauda achchha hua jab tu mujh ko mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.