tu ne apna nur dikha diya mujhe mahtab bana diya
tu ne apna nur dikha diya mujhe mahtab bana diya
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
tū ne apnā nuur dikhā diyā mujhe māhtāb banā diyā
jise dekhnā hī muhāl thā so vo ek dam meñ bhulā diyā
usī nuur kā ye zuhūr hai ki muhāl jis kā hai dekhnā
jo ki aarzū mire dil meñ thī use kHuub tū ne dikhā diyā
khulā raaz mujh pe jo thā nihāñ are saaqī tere hī daur meñ
bhalā kaun sī ye sharāb thī ki jo jaam tuune pilā diyā
jo ek ramz hai dosto zarā chashm-e-ġhaur se dekh lo
ye zuhūr sab hai mohammadī ki jo ishaq hī ne dikhā diyā
karam apne piir kā kyā kahūñ maiñ to 'ḳhādim' un pe nisār huuñ
ki libās-e-faqr 'atā kiyā to ḳhudā se mujh ko milā diyā
tu ne apna nur dikha diya mujhe mahtab bana diya
jise dekhna hi muhaal tha so wo ek dam mein bhula diya
usi nur ka ye zuhur hai ki muhaal jis ka hai dekhna
jo ki aarzu mere dil mein thi use kHub tu ne dikha diya
khula raaz mujh pe jo tha nihan are saqi tere hi daur mein
bhala kaun si ye sharab thi ki jo jam tune pila diya
jo ek ramz hai dosto zara chashm-e-ghaur se dekh lo
ye zuhur sab hai mohammadi ki jo ishaq hi ne dikha diya
karam apne pir ka kya kahun main to 'KHadim' un pe nisar hun
ki libas-e-faqr 'ata kiya to KHuda se mujh ko mila diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.