raat KHalwat mein faqat main tha ki jaanana tha
raat KHalwat mein faqat main tha ki jaanana tha
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
raat ḳhalvat meñ faqat maiñ thā ki jānāna thā
saaya ḳhvesh bhī us vaqt maiñ begāna thā
merī āġhosh meñ thā ā.īna-rū shakl-e-kHayāl
zulf thī aur dil-e-sad-chāk mirā shāna thā
vaqt ḳhush thā mirā duurī meñ tirī ai saaqī
mai-e-vahdat se labālab merā paimāna thā
hue yaksū jo duī se to ḳhudī ko chhoḌā
is bahāna se faqat yaar se mil jaanā thā
hazrat-e-shāh-e-safī matlab 'ḳhādim' bilkul
aap ke fazl se puurā huā jo maanā thā
raat KHalwat mein faqat main tha ki jaanana tha
saya KHwesh bhi us waqt main begana tha
meri aaghosh mein tha aaina-ru shakl-e-kHayal
zulf thi aur dil-e-sad-chaak mera shana tha
waqt KHush tha mera duri mein teri ai saqi
mai-e-wahdat se labaalab mera paimana tha
hue yaksu jo dui se to KHudi ko chhoDa
is bahana se faqat yar se mil jaana tha
hazrat-e-shah-e-safi matlab 'KHadim' bilkul
aap ke fazl se pura hua jo mana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.