dil mein sama raha hai rabb-e-ghafur mera
dil meñ samā rahā hai rabb-e-ġhafūr merā
jalva dikhā rahā hai bātin meñ nuur merā
terī taraf jo pahuñchā sar ko qadam banā ke
yak-rañg ho gayā hai nazdīk-o-dūr merā
raushan hai mujh meñ jānāñ mānind-e-sham.a fānūs
sirr-e-ḳhafī 'ayāñ hai dekho zuhūr merā
dar 'ain vasl-e-jūyā huuñ yaar ham-nashīñ kā
laḌkā to hai baġhal meñ bastī meñ shor merā
'ḳhādim' kī ġharaz ye shāh-e-safī se apnī
kar dījiye ab āsāñ matlab zarūr merā
dil mein sama raha hai rabb-e-ghafur mera
jalwa dikha raha hai baatin mein nur mera
teri taraf jo pahuncha sar ko qadam bana ke
yak-rang ho gaya hai nazdik-o-dur mera
raushan hai mujh mein jaanan manind-e-shama fanus
sirr-e-KHafi 'ayan hai dekho zuhur mera
dar 'ain wasl-e-juya hun yar ham-nashin ka
laDka to hai baghal mein basti mein shor mera
'KHadim' ki gharaz ye shah-e-safi se apni
kar dijiye ab aasan matlab zarur mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.