Font by Mehr Nastaliq Web

ai jaan-e-jahan dekh ke mastana wo raftar dil pis gaya mera

Makhdoom Khadim Safi

ai jaan-e-jahan dekh ke mastana wo raftar dil pis gaya mera

Makhdoom Khadim Safi

ai jān-e-jahāñ dekh ke mastāna vo raftār dil pis gayā merā

yūsuf-e-sānī hai mire haidar-e-karrār maqbūl ḳhudā

tīr-e-nigah-e-shoḳh tirā ai but-e-'ayyār siina se huā paar

bismil huā abrū se ġhazab hai ye talvār zaḳhmī huuñ sarāpā

mansūr ko haq kahne se nā-haq kiyā bardār par chup na huā yaar

jo 'āshiq-e-sādiq ki mirī baat pe har baar hargiz na Talegā

hai ātish-e-sozāñ ye nahīñ 'ishq hai zinhār allāh madad-gār

jo aan paḌā koī bhī us meñ kahīñ ik baar jal kar huā pakkā

'ḳhādim' ye hai 'arz ki ai sayyad-e-abrār tum ho mire sardār

hai jab se khulā mujh pe tire 'ishq isrār huuñ vāla-e-shaidā

ai jaan-e-jahan dekh ke mastana wo raftar dil pis gaya mera

tu yusuf-e-sani hai mere haidar-e-karrar maqbul KHuda ka

tir-e-nigah-e-shoKH tera ai but-e-'ayyar sina se hua par

bismil hua abru se ghazab ki hai ye talwar zaKHmi hun sarapa

mansur ko haq kahne se na-haq kiya bardar par chup na hua yar

jo 'ashiq-e-sadiq ki meri baat pe har bar hargiz na Talega

hai aatish-e-sozan ye nahin 'ishq hai zinhaar allah madad-gar

jo aan paDa koi bhi us mein kahin ek bar jal kar hua pakka

'KHadim' ki ye hai 'arz ki ai sayyad-e-abrar tum ho mere sardar

hai jab se khula mujh pe tere 'ishq ka israr hun wala-e-shaida

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now