jab husn-e-azal apni taswir bana laya
jab husn-e-azal apnī tasvīr banā laayā
parde se vo harjā.ī taqrīr banā laayā
ḳhud sham' hai mahfil meñ raushan hai har ik dil meñ
sar lene ko ḳhud qātil gul-gīr banā laayā
us turra-e-pechāñ ne 'ālam ko kiyā qaidī
kyā ’ishq-o-mohabbat kī zanjīr banā laayā
vahdat se vo kasrat meñ kar apne ta.iiñ zāhir
hai barzaḳh kubrā kī tahrīr banā laayā
zinda kiyā ḳhādim ko jab ek nazar dekhā
kyā āñkhoñ ko tū zālim iksīr banā laayā
jab husn-e-azal apni taswir bana laya
parde se wo harjai taqrir bana laya
KHud sham' hai mahfil mein raushan hai har ek dil mein
sar lene ko KHud qatil gul-gir bana laya
us turra-e-pechan ne 'alam ko kiya qaidi
kya ’ishq-o-mohabbat ki zanjir bana laya
wahdat se wo kasrat mein kar apne tain zahir
hai barzaKH kubra ki tahrir bana laya
zinda kiya KHadim ko jab ek nazar dekha
kya aankhon ko tu zalim iksir bana laya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.