jab se wahdat ki pi hai humne sharab
jab se vahdat kī pī hai ham ne sharāb
ho ga.ī ek misal āb-e-hayāt
hausla ab nahīñ hai kuchh baaqī
aisā ham ko milā hai us meñ savāb
nukta-e-ainamā khulā ham par
nafs-e-ammāra ho gayā ḳharāb
mo.jazan dil meñ hai ulūhiyat
haiñ anallāho ke shor meñ ġharqāb
kahī 'ḳhādim' ne ab ġhazal aisī
haq hai baaqī to kuchh nahīñ hai 'azāb
jab se wahdat ki pi hai hum ne sharab
ho gai ek misal aab-e-hayat
hausla ab nahin hai kuchh baqi
aisa hum ko mila hai us mein sawab
nukta-e-ainama khula hum par
nafs-e-ammara ho gaya KHarab
mojazan dil mein hai uluhiyat
hain anallaho ke shor mein gharqab
kahi 'KHadim' ne ab ghazal aisi
haq hai baqi to kuchh nahin hai 'azab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.