ishq mein aa kar teri az bas-ki gham khate hain hum
ishq mein aa kar teri az bas-ki gham khate hain hum
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
'ishq meñ aa kar tirī az bas-ki ġham khāte haiñ ham
dil lagā kar tujh se pyāre ab to pachhtāte haiñ ham
kyuuñ ḳhafā rahtā hai mujh se kyā ḳhatā merī hai yaar
sach batā kyā mājrā hai ab to ghabrāte haiñ ham
chhoḌ kar donoñ jahāñ ko misl-e-majnūñ ho ga.e
ab gadā haiñ tere dar ke tere kahlāte haiñ ham
sāġhar-e-dil ko mai-e-vahdat se tuune hai bharā
chāho bolo yā na bolo ab to chillāte haiñ ham
'arz 'ḳhādim' kī yahī hai is ko sunñā hai zarūr
hazrat-e-shāh safī tere hī kahlāte haiñ ham
'ishq mein aa kar teri az bas-ki gham khate hain hum
dil laga kar tujh se pyare ab to pachhtate hain hum
kyun KHafa rahta hai mujh se kya KHata meri hai yar
sach bata kya majra hai ab to ghabraate hain hum
chhoD kar donon jahan ko misl-e-majnun ho gae
ab gada hain tere dar ke tere kahlate hain hum
saghar-e-dil ko mai-e-wahdat se tune hai bhara
chaho bolo ya na bolo ab to chillate hain hum
'arz 'KHadim' ki yahi hai is ko sunna hai zarur
hazrat-e-shah safi tere hi kahlate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.