hum aapi ko har ja ayan dekhte hain
ham aapī ko har jā 'ayāñ dekhte haiñ
jidhar dekhte haiñ jahāñ dekhte haiñ
kahīñ ādam-o-shīt-o-havvā hue ham
kahīñ mā'nī-e-ins-o-jāñ dekhte haiñ
kahīñ mustafā haiñ kahīñ murtazā haiñ
kahīñ aap ko jān-e-jāñ dekhte haiñ
kahīñ bādshāh hiiñ kahīñ ham gadā haiñ
kahīñ aap ko lā-makāñ dekhte haiñ
kahīñ ham haiñ ḳhādim kahīñ ham safī haiñ
kahīñ aap ko jalla-shāñ dekhte haiñ
hum aapi ko har ja 'ayan dekhte hain
jidhar dekhte hain jahan dekhte hain
kahin aadam-o-shit-o-hawwa hue hum
kahin ma'ni-e-ins-o-jaan dekhte hain
kahin mustafa hain kahin murtaza hain
kahin aap ko jaan-e-jaan dekhte hain
kahin baadshah hin kahin hum gada hain
kahin aap ko la-makan dekhte hain
kahin hum hain KHadim kahin hum safi hain
kahin aap ko jalla-shan dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.