donon jahan mein yaro muKHtar hain to hum hain
donon jahan mein yaro muKHtar hain to hum hain
Makhdoom Khadim Safi
MORE BYMakhdoom Khadim Safi
donoñ jahāñ meñ yaaro muḳhtār haiñ to ham haiñ
sab 'āshiqoñ meñ saaqī sarshār haiñ to ham haiñ
dekhā samajh-samajh kar āḳhir pata milā ye
gar yaar haiñ to ham haiñ aġhyār haiñ to ham haiñ
saude kī merī har jā kyā kyā ye bikriyāñ haiñ
haiñ mushtarī to ham haiñ bāzār haiñ to ham haiñ
farhād aur shīrīñ ham se nahīñ judā haiñ
gar tesha haiñ to ham haiñ kohsār haiñ to ham haiñ
dard-o-davā hamīñ haiñ hāziq hakīm ham haiñ
bīmārī haiñ to ham haiñ bīmār haiñ to ham haiñ
'ālam jo haiñ to ham haiñ zāhir jo haiñ to ham haiñ
mansūr haiñ to ham haiñ aur daar haiñ to ham haiñ
logo sanam ko dekho 'ḳhādim' safī meñ zāhir
gar diid haiñ to ham haiñ dīdār haiñ to ham haiñ
donon jahan mein yaro muKHtar hain to hum hain
sab 'ashiqon mein saqi sarshaar hain to hum hain
dekha samajh-samajh kar aaKHir pata mila ye
gar yar hain to hum hain aghyar hain to hum hain
saude ki meri har ja kya kya ye bikriyan hain
hain mushtari to hum hain bazar hain to hum hain
farhad aur shirin hum se nahin juda hain
gar tesha hain to hum hain kohsar hain to hum hain
dard-o-dawa hamin hain haziq hakim hum hain
bimari hain to hum hain bimar hain to hum hain
'alam jo hain to hum hain zahir jo hain to hum hain
mansur hain to hum hain aur dar hain to hum hain
logo sanam ko dekho 'KHadim' safi mein zahir
gar did hain to hum hain didar hain to hum hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.